Thursday, December 16, 2010

PRARTHANA

Daya kar dan bhaktika , hamen parmatma dena,
Daya karna hamari atmamen me shuddhata dena.
Hamare dhyanmen ao prabhu ankhomen bas jao,
Andher dilmen akarke param jyoti jaga dena.
Bahado premki ganga dilomen premka sagar,
Hamen apasmen milzulkar , prabhu , rahna sikha dena.
Hamara karm ho seva hamara dharm ho seva,
Sada iman ho seva va sevakchar bana dena...
Vatanke vaste jina , vatanke vaste marna,
Vatan par jan fida karna , prabhu , hamko sikha dena.
Daya kar dan bhaktika , hamen parmatma dena,
Daya karna hamari atmamen men Shuddhata dena.

No comments:

Post a Comment